janta hu

vakt ki najakat ko me janta hu
jamane ki hakikat ko manta hu
chehre ke piche ka chehra me pehchanta hu .....
insan ki fitrat badlne ka andaz dekhta hu, har ek chiz me tera ya mera ye swarth me sunta hu...
bewafai ke badle wafai nibhana me janta hu,
kisi apne se bichdne ka dukh me janta hu.
hasta hu me jamane pe kyuki jamane ka pichese hasna me janta hu.

akele chalne ka dukh me janta hu,
 isiliye saath nibhane ke bahane me dhundta hu.
jamane ka pith par vaar karna me janta hu isiliye teri pith se pith lagakar chalta hu.....
bharosa kisipe karta nahi kyuki ab bharosa tutne ka dard me janta hu

                                                 :-abhi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog